O Papi Man Karle Bhajan Lyrics | ओ पापी मन करले भजन लिरिक्स

Ek Share Hari ke Naam...

“O Paapi Man Karle Bhajan” ek bhakti bhajan hai jo jeevan ke sach aur uski nashvarta ko samjhata hai. Yeh bhajan manushya ko yaad dilata hai ki yeh sansaar ek chaar din ka mela hai aur asli saathi kewal Ram Naam hai. Ismein samjhaya gaya hai ki jeevan ke antim samay mein paschaataap ka koi fayda nahi, jab pinjre se panchhi (atma) nikal jaata hai. Yeh bhajan man ko satsang, bhajan aur bhakti ke marg par chalne ke liye prerit karta hai, aur Ram Naam ke sumiran se moksha prapt karne ki seekh deta hai.

O Paapi Man Karle Bhajan – Hindi Lyrics

O paapi man karle bhajan,
Mauka mila hai to karle jatan.

Join Now for Latest Bhajan Lyrics Join Now
Join Now for Latest Bhajan Lyrics Join Now

O paapi man karle bhajan,
Mauka mila hai to karle jatan,
Baad mein pyaare pachhtayega jab,
Pinjre se panchhi nikal jaayega.

Chaar dino ka hai jag ka mela,
Koi na saathi sangi akela.
Jaisa tu aaya jag mein waisa hi tu jaayega,
Mutthi baandh ke aaya jag mein haath pasaare jaayega,
Ho baad mein pyaare pachhtayega jab,
Pinjre se panchhi nikal jaayega.

Bhaai bandhu kutumb kabeela,
Ye to jag ka jhootha jhamela,
Marne ke baad tujhe aag mein jalaayenge,
Terah dino ka tera maatam manaayenge,
Baad mein pyaare pachhtayega jab,
Pinjre se panchhi nikal jaayega.

Ram naam ka sumiran karle,
Ram ji ka naam pyaare ghat mein dhar le,
Ram ji ka naam pyaare kaam tere aayega,
Jeevan maran se tu mukti paa jaayega,
Baad mein pyaare pachhtayega jab,
Pinjre se panchhi nikal jaayega.


ओ पापी मन करले भजन – हिंदी लिरिक्स

ओ पापी मन करले भजन,
मौका मिला है तो करले जतन ।।

ओ पापी मन करले भजन,
मौका मिला है तो करले जतन,
बाद में प्यारे पछताएगा जब,
पिंजरे से पंछी निकल जाएगा।।

चार दिनों का है जग का मेला,
कोई ना साथी संगी अकेला।
जैसा तू आया जग में वैसा ही तू जाएगा,
मुठ्ठी बाँध के आया जग में हाथ पसारे जाएगा,
हो बाद में प्यारे पछताएगा जब,
पिंजरे से पंछी निकल जाएगा।।

भाई बंधू कुटुंब कबीला,
ये तो जग का झूठा झमेला,
मरने के बाद तुझे आग में जलाएंगे,
तेरह दिनों का तेरा मातम मनाएंगे,
बाद में प्यारे पछताएगा जब,
पिंजरे से पंछी निकल जाएगा।।

राम नाम का सुमिरण करले,
राम जी का नाम प्यारे घट में धर ले,
राम जी का नाम प्यारे काम तेरे आएगा,
जीवन मरण से तू मुक्ति पा जायेगा,
बाद में प्यारे पछताएगा जब,
पिंजरे से पंछी निकल जाएगा।।

Also Check: Meri Jhopdi Ke Bhag Aaj Jaag Jayenge Ram Aayenge Lyrics

Leave a Comment