“Ek Din Vo Bhole Bhandari Banke Braj Ki Nari” ek manoranjak aur bhakti bhara bhajan hai jo Shiv ji ke anokhe roop ka varnan karta hai. Is bhajan mein kaha gaya hai ki kaise Bhole Nath ne ek din Braj ki gopi ka roop dharan kar liya, sirf Shyam Sundar ke darshan karne ke liye. Bhajan Radha-Krishna ki leelaon aur Shiv ji ke bhaktibhav ko pyaare andaaz mein vyakt karta hai. Ye bhajan suniye to hansi bhi aati hai aur bhakti bhi jagti hai. Bhole Baba aur Krishna ke prem aur leela ka anokha milan hai isme.
Ik Din Vo Bhole Bhandari Banke Braj Ki Nari Bhajan – Hindi Lyrics
Ek din vo Bhola Bhandari,
Banke sundar naari,
Gokul mein aa gaye hain.
Parvati ne mana kiya to,
Na maane Tripurari,
Brij mein aa gaye hain.
Parvati se bole Bhole,
Main bhi chalunga tere sang mein,
Radha sang Shyam nache,
Main bhi naachunga tere sang mein,
Raas rachega Braj mein bhaari,
Mujhe dikhao pyaari,
Brij mein aa gaye hain.
O mere Bhole Swami,
Kaise le jaaun apne saath mein,
Mohan ke siwa wahan,
Koi purush na jaaye raas mein,
Hansi karegi Braj ki naari,
Maano baat humaari,
Vrindavan aa gaye hain.
Aisa saja do mujhe,
Koi na jaane is raaz ko,
Main hoon saheli teri,
Aisa batana Braj raaj ko,
Bana ke juda pehen ke saari,
Chaal chale matwaali,
Gokul mein aa gaye hain.
Dekha Mohan ne aisa,
Samajh gaye wo saari baat re,
Aisi bajayi Bansi,
Sudh budh bhoole Bholenath re,
Khisak gayi jab sar se saari,
Muskaaye Giridhari,
Brij mein aa gaye hain.
Ek din vo Bhola Bhandari,
Banke sundar naari,
Gokul mein aa gaye hain.
Parvati ne mana kiya to,
Na maane Tripurari,
Brij mein aa gaye hain.
इक दिन वो भोले भंडारी बन करके ब्रज की नारी भजन – हिंदी लिरिक्स
एक दिन वो भोला भंडारी,
बनकर सुन्दर नारी,
गोकुल में आ गए हैं।
पार्वती ने मना किया तो,
ना माने त्रिपुरारी,
बिरज में आ गए हैं।।
पार्वती से बोले भोले,
मैं भी चलूँगा तेरे संग मैं,
राधा संग श्याम नाचे,
मैं भी नाचूँगा तेरे संग में,
रास रचेगा ब्रज मैं भारी,
मुझे दिखाओ प्यारी,
बिरज में आ गए हैं।।
ओ मेरे भोले स्वामी,
कैसे ले जाऊं अपने साथ में,
मोहन के सिवा वहां,
कोई पुरुष ना जाए रास में
हंसी करेगी ब्रज की नारी,
मानो बात हमारी,
वृंदावन आ गए हैं।।
ऐसा सजा दो मुझे,
कोई ना जाने इस राज को,
मैं हूँ सहेली तेरी,
ऐसा बताना ब्रज राज को,
बना के जुड़ा पहन के साड़ी,
चाल चले मतवाली,
गोकुल में आ गए हैं।।
देखा मोहन ने ऐसा,
समझ गये वो सारी बात रे,
ऐसी बजाई बंसी,
सुध बुध भूले भोलेनाथ रे,
खिसक गयी जब सर से साड़ी,
मुस्काये गिरधारी,
बिरज में आ गए हैं।।
एक दिन वो भोला भंडारी,
बनकर सुन्दर नारी,
गोकुल में आ गए हैं।
पार्वती ने मना किया तो,
ना माने त्रिपुरारी,
बिरज में आ गए हैं।।