Jai Jai Jai Bajrangbali” ek pavitra bhajan hai jo Hanuman ji ki mahima ka varnan karta hai. Isme unke veer gathaon ka zikr hai – jaise Lakshman ji ke praan bachana, Ram ji ka sandesh Sita maa tak pahunchana, aur Lanka dahan karna. Hanuman ji ko bhakti aur shakti ka prateek maana jata hai, jo apne bhakton ke dukh door kar dete hain. Jo bhi dil se unhe yaad karta hai, uski vipda turant door ho jaati hai. Ye bhajan Hanuman ji ki mahima, unke bal, aur bhakton ke prati unke prem ko sundar roop se darshata hai.
Jai Jai Jai Bajrangbali – Hindi Lyrics
Jai Jai Jai Bajrangbali,
Jo bhi dil se pukare tumko….-2
Uski vipda pal me tali
Jai Jai Jai Bajrangbali ॥
Lakshman ke the praan bachaye,
Parvat hatheli par le aaye,
Aisi booti di Lakshman ko,
Khil uthi jeevan ki kali,
Jai Jai Jai Bajrangbali ॥
Ramji ne sandesha bhijvaya,
Sita maa ko yakeen na aaya,
Tab Hanuman ne Ram angoothi,
Sita maa ki rakh di tali,
Jai Jai Jai Bajrangbali ॥
Sena ne poonchh me aag lagayi,
Sab sone ki Lanka jalayi,
Dekhte dekhte hi pal bhar me,
Sab sone ki Lanka jali,
Jai Jai Jai Bajrangbali ॥
Hanumat jo koi tumhe dhyata,
Uske dukh kabhi nikat na aata,
Kahta hai Sandeep Jalandhari,
Karte ho tum sabki bhali,
Jai Jai Jai Bajrangbali ॥
जय जय जय बजरंगबली – हिंदी लिरिक्स
जय जय जय बजरंगबली,
जो भी दिल से पुकारे तुमको….-2
उसकी विपदा पल मे टली
जय जय जय बजरंगबली ।
लक्ष्मण के थे प्राण बचाए,
पर्वत हथेली पर ले आए,
ऐसी बूटी दी लक्ष्मण को,
खिल उठी जीवन की कली,
जय जय जय बजरंगबली ॥
रामजी ने संदेशा भिजवाया,
सीता माँ को यकीन ना आया,
तब हनुमान ने राम अंगूठी,
सीता मां की रख दी तली,
जय जय जय बजरंगबली ॥
सेना ने पूंछ में आग लगाई,
सब सोने की लंका जलाई,
देखते देखते ही पल भर में,
सब सोने की लंका जली,
जय जय जय बजरंगबली ॥
हनुमत जो कोई तुम्हे धयाता,
उसके दुख कभी निकट ना आता,
कहता है संदीप जलंधरी,
करते हो तुम सबकी भली,
जय जय जय बजरंगबली ॥