Leke Pooja Ki Thaali Lyrics | लेके पूजा की थाली

Ek Share Hari ke Naam...

“Leke Pooja Ki Thaali” ek bhakti bhajan hai jo maa ke prati bhakt ke prem, shraddha aur samarpan ko vyakt karta hai. Is geet mein bhakt maa ke charanon mein pooja ki thali aur mann ki jyot le kar aata hai, aur maa se jeevan mein sukh-shanti aur sahara maangta hai. Har pankti maa ke divya roop, daya bhav aur bhakti ke mahattva ko darshati hai. Ye bhajan bhakt ke andar ke vivek, bhakti aur ananya prem ko ubharta hai — jo maa ke charanon mein apna sab kuch samarpit karna chahta hai.

Leke Pooja Ki Thaali Jyot Mann Ki Jaga Li – Hindi Lyrics

Leke pooja ki thaali, jyot mann ki jaga li
Teri aarti utaarun, Bholi Maa
Tu jo de-de sahaara, sukh jeevan ka saara
Tere charanon pe vaarun, Bholi Maa
O Maa, O Maa

Join Now for Latest Bhajan Lyrics Join Now
Join Now for Latest Bhajan Lyrics Join Now

Leke pooja ki thaali, jyot mann ki jaga li
Teri aarti utaarun, Bholi Maa
Tu jo de-de sahaara, sukh jeevan ka saara
Tere charanon pe vaarun, Bholi Maa
O Maa, O Maa

Dhool tere charanon ki lekar maathe tilak lagaaya
Ho, dhool tere charanon ki lekar maathe tilak lagaaya
Yahi kaamna lekar, Maiyya, dwaar tere main aaya
Rahun main tera ho ke, teri seva mein kho ke
Saara jeevan guzaarun, Bholi Maa
Tu jo de-de sahaara, sukh jeevan ka saara
Tere charanon pe vaarun, Bholi Maa
O Maa, O Maa

Safal hua ye janam ki main tha janmon se kangaal
Ho, safal hua ye janam ki main tha janmon se kangaal
Tune bhakti ka dhan de ke kar diya maalamaal
Rahein jab tak ye praan, karun tera hi dhyaan
Naam tera pukarun, Bholi Maa
Tu jo de-de sahaara, sukh jeevan ka saara
Tere charanon pe vaarun, Bholi Maa
O Maa, O Maa

Leke pooja ki thaali, jyot mann ki jaga li
Teri aarti utaarun, Bholi Maa
Tu jo de-de sahaara, sukh jeevan ka saara
Tere charanon pe vaarun, Bholi Maa
O Maa, O Maa
O Maa, O Maa


लेके पूजा की थाली ज्योत मन की जगा ली – हिंदी लिरिक्स

लेके पूजा की थाली, ज्योत मन की जगा ली
तेरी आरती उतारूँ, भोली माँ
तू जो दे-दे सहारा, सुख जीवन का सारा
तेरे चरणों पे वारूँ, भोली माँ
ओ, माँ, ओ, माँ

लेके पूजा की थाली, ज्योत मन की जगा ली
तेरी आरती उतारूँ, भोली माँ
तू जो दे-दे सहारा, सुख जीवन का सारा
तेरे चरणों पे वारूँ, भोली माँ
ओ, माँ, ओ, माँ

धूल तेरे चरणों की लेकर माथे तिलक लगाया।
हो, धूल तेरे चरणों की लेकर माथे तिलक लगाया।
यही कामना लेकर, मैय्या, द्वार तेरे मैं आया।
रहूँ मैं तेरा हो के, तेरी सेवा में खो के।
सारा जीवन गुज़ारूँ, भोली माँ।
तू जो दे-दे सहारा, सुख जीवन का सारा।
तेरे चरणों पे वारूँ, भोली माँ
ओ, माँ, ओ, माँ

सफल हुआ ये जनम कि मैं था जन्मों से कंगाल।
हो, सफल हुआ ये जनम कि मैं था जन्मों से कंगाल।
तूने भक्ति का धन दे के कर दिया मालामाल।
रहें जब तक ये प्राण, करूँ तेरा ही ध्यान।
नाम तेरा पुकारूँ, भोली माँ।
तू जो दे-दे सहारा, सुख जीवन का सारा।
तेरे चरणों पे वारूँ, भोली माँ
ओ, माँ, ओ, माँ

लेके पूजा की थाली, ज्योत मन की जगा ली।
तेरी आरती उतारूँ, भोली माँ।
तू जो दे-दे सहारा, सुख जीवन का सारा।
तेरे चरणों पे वारूँ, भोली माँ।
ओ, माँ, ओ, माँ
ओ, माँ, ओ, माँ

Leave a Comment