मनुष जनम अनमोल रे | Manush Janam Anmol Re Lyrics

Ek Share Hari ke Naam...

Yeh bhajan “Manush Janam Anmol Re” ek gahra adhyatmik sandesh deta hai jo jeevan ke asli moolya ko samjhata hai. Isme kaha gaya hai ki manushya ka janam sabse anmol hai — ise vyarth na jaane do. Bhajan humein yaad dilata hai ki zindagi chanchal hai, isliye har pal bhakti, satkarma aur prem mein bitana chahiye. Sai Baba ke charanon mein samarpan, satsang aur prabhu bhajan hi moksha ka marg hai. Iske madhur shabdon se humein satya, vinamrta aur daya ka paath milta hai. Yeh geet prerna deta hai — “manush janam anmol hai, ise mitti mein mat rol re.”

मनुष जनम अनमोल रे – हिंदी लिरिक्स

मनुष जनम अनमोल रे,
मिट्टी मे ना रोल रे,
अब जो मिला है फ़िर ना मिलेगा,
कभी नही कभी नही रे,
ॐ साई नमो नमः,
श्री साई नमो नमः……

तु सत्संग मे आया कर,
गीत प्रभु के गाया कर,
साँझ सवेरे बेठ के बन्दे,
गीत प्रभु के गाया कर,
नही लगता कुछ मोल रे,
मिट्टी मे ना रोल रे,
अब जो मिला है फ़िर ना मिलेगा,
कभी नही कभी नही रे……..

तु है बूद बूद पानी का,
मत कर जोर जवानी का,
समझ समझ के क़दम रखो,
पता नही ज़िन्दगानी का,
सबसे मीठा बोल रे,
मिट्टी मे ना रोल रे,
अब जो मिला है फ़िर ना मिलेगा,
कभी नही कभी नही रे……

मतलब का संसार है,
इसका क्या ऐतबार है,
सम्भल सम्भल के क़दम रखो,
फूल नही अंगार है,
मन की आँखे खोल रे,
मिट्टी मे ना रोल रे,
अब जो मिला है फ़िर ना मिलेगा,
कभी नही कभी नही रे……

मनुष जनम अनमोल रे,
मिट्टी मे ना रोल रे,
अब जो मिला है फ़िर ना मिलेगा,
कभी नही कभी नही रे,,
ॐ साई नमो नमः,
श्री साई नमो नमः……


Manush Janam Anmol Re – Hindi Lyrics

Manush janam anmol re,
Mitti mein na rol re,
Ab jo mila hai phir na milega,
Kabhi nahi kabhi nahi re,
Om Sai Namo Namah,
Shri Sai Namo Namah……

Tu satsang mein aaya kar,
Geet Prabhu ke gaya kar,
Saanjh savere baith ke bande,
Geet Prabhu ke gaya kar,
Nahi lagta kuch mol re,
Mitti mein na rol re,
Ab jo mila hai phir na milega,
Kabhi nahi kabhi nahi re……

Tu hai boond boond paani ka,
Mat kar zor jawani ka,
Samajh samajh ke kadam rakho,
Pata nahi zindagani ka,
Sabse meetha bol re,
Mitti mein na rol re,
Ab jo mila hai phir na milega,
Kabhi nahi kabhi nahi re……

Matlab ka sansaar hai,
Iska kya aitbaar hai,
Sambhal sambhal ke kadam rakho,
Phool nahi angaar hai,
Man ki aankhein khol re,
Mitti mein na rol re,
Ab jo mila hai phir na milega,
Kabhi nahi kabhi nahi re……

Manush janam anmol re,
Mitti mein na rol re,
Ab jo mila hai phir na milega,
Kabhi nahi kabhi nahi re,
Om Sai Namo Namah,
Shri Sai Namo Namah……

Leave a Comment