“Mere Laadle Ganesh Pyaare Pyaare” ek bhakti bhajan hai jo Ganpati Bappa ke divya roop, shakti aur daya bhav ko samarpit hai. Is bhajan mein Ganesh ji ke saundarya, sukhdayak drishti aur sab par kripa barsane wale swabhav ka madhur varnan hai. Bhakt prarthana karte hain ki Ganesh ji sabha mein padharein, unki bhakti sweekar karein aur har karya mein mangal karein. Dhoop, deep aur ghungroo ki madhur dhwani ke saath bhajan Ganpati ji ke gun gaan se bhara hua hai. Ye bhajan shraddha aur prem se bhara hua hai, jo har bhakt ke dil ko chhoo leta hai.
Mere laadle Ganesh Pyare Pyare Bhajan – Hindi Lyrics
Mere laadle Ganesh pyare pyare
Bhole Baba ji ki aankhon ke taare
Prabhu sabha beech mein aa jaana aa jaana
॥ Mere laadle Ganesh pyare pyare ॥
Teri kaaya kanchan kanchan,
Kiranon ka hai jisme basera.
Teri soond soondali moorat,
Teri aankhon mein khushiyon ka dera.
Teri mahima aparampaar,
Tujhko pooje ye sansaar.
Prabhu amrit ras barsa jaana, aa jaana.
॥ Mere laadle Ganesh pyare pyare ॥
Prabhu bhajan tumhaare gaayein,
Sabse pehle hum tumko manaayein.
Dhoop deepo ki jyoti jalaayein,
Man mandir mein jhaanki sajaayein.
Mere Bhole Bhagwaan,
De do bhakti ka daan.
Prabhu naiya paar laga jaana, aa jaana.
॥ Mere laadle Ganesh pyare pyare ॥
Mere vidhn vinaashak deva,
Sabse pehle karein teri seva.
Saare jag mein anand chhaaya,
Bolo Jai Jai Gajaanand Deva.
Baaje sur aur taal,
Tera gun gaaye sansaar.
Ghungroo ki khanak khanak jaana, aa jaana.
॥ Mere laadle Ganesh pyare pyare ॥
मेरे लाडले गणेश प्यारे प्यारे – हिंदी लिरिक्स
मेरे लाडले गणेश प्यारे प्यारे
भोले बाबा जी की आँखों के तारे
प्रभु सभा बीच में आ जाना आ जाना
॥ मेरे लाडले गणेश प्यारे प्यारे ॥
तेरी काया कंचन कंचन,
किरणों का है जिसमे बसेरा।
तेरी सूंड सुंडाली मूरत,
तेरी आँखों मे खुशियों का डेरा ।
तेरी महिमा अपरम्पार,
तुझको पूजे ये संसार ।
प्रभु अमृत रस बरसा जाना, आ जाना ।
॥ मेरे लाडले गणेश प्यारे प्यारे ॥
प्रभु भजन तुम्हारे गाएं,
सबसे पहले हम तुमको मनाएं ।
धुप दीपो की ज्योति जलाएं,
मन मंदिर मे झांकी सजाएं ।
मेरे भोले भगवान,
दे दो भक्ति का दान ।
प्रभु नैया पार लगा जाना, आ जाना ।
॥ मेरे लाडले गणेश प्यारे प्यारे ॥
मेरे विधन विनाशक देवा,
सबसे पहले करें तेरी सेवा ।
सारे जग मे आनंद छाया,
बोलो जय जय गजानंद देवा ।
बाजे सुर और ताल,
तेरा गुण गाये संसार ।
घुंघरू की खनक खनक जाना, आ जाना ।
॥ मेरे लाडले गणेश प्यारे प्यारे ॥
Also Check: Ganpati Ji Ganesh Nu Manaiye Lyrics