Aaye Tere Bhavan, Dede Apni Sharan” maa Durga ki mahima ko samarpit hai jo bhakti aur shraddha se bhara hua hai. Isme maa ke charanon mein sharan lene ka varnan hai, jahan bhakt tan-man se unki bhakti mein magan ho jaata hai. Bhajan maa ke mandir ka utsav, phoolon ki rangoli, dharti ka aangan aur prakriti ke sajane ka sundar chitran karta hai. Ganga ki dhara, aarti ke deepak aur sitaron ka prakash maa ki mahima ko aur badha dete hain. Yeh bhajan bhakton ko maa ke darshan, prem aur bhakti ki jyoti se pavitra karta hai.
O Aaye Tere Bhawan Hindi Lyrics
Aaye tere bhavan, dede apni sharan,
Rahe tujh mein magan, thaam ke yeh charan.
Tan man mein bhakti jyoti teri, he Maata jalti rahe ॥
Utsav manaye, naache gaye,
Chalo Maiya ke dar jaayein.
Charo dishaaye char khambe bani hain,
Mandap mein aatma ki charad taani hai.
Sooraj bhi kirnon ki mala le aaya,
Kudrat ne dharti ka aangan sajaya.
Karke tere darshan, jhoome dharti pavan,
San nan nan gaye pavan, sabhi tujh mein magan,
Tan man mein bhakti jyoti teri, he Maata jalti rahe ॥
Phoolon ne rangon se rangoli sajai,
Saari dharti yeh mehakayi.
Charanon mein bahti hai Ganga ki dhara,
Aarti ka deepak lage har ek sitara.
Purvaiya dekho chavar kaise jhulaaye,
Rituyen bhi Maata ka jhula jhulaayein.
Pa ke bhakti ka dhan, hua paavan yeh man,
Kar ke tera sumiran, khule antar nayan,
Tan man mein bhakti jyoti teri, he Maata jalti rahe ॥
आये तेरे भवन देदे अपनी शरण – हिंदी लिरिक्स
आये तेरे भवन, देदे अपनी शरण,
रहे तुझ में मगन, थाम के यह चरण ।
तन मन में भक्ति ज्योति तेरी, हे माता जलती रहे ॥
उत्सव मनाये, नाचे गाये,
चलो मैया के दर जाएँ ।
चारो दिशाए चार खम्बे बनी हैं,
मंडप में आत्मा की चारद तानी है ।
सूरज भी किरणों की माला ले आया,
कुदरत ने धरती का आँगन सजाया ।
करके तेरे दर्शन, झूमे धरती पवन,
सन नन नन गाये पवन, सभी तुझ में मगन,
तन मन में भक्ति ज्योति तेरी, हे माता जलती रहे ॥
फूलों ने रंगों से रंगोली सजाई,
सारी धरती यह महकायी ।
चरणों में बहती है गंगा की धरा,
आरती का दीपक लगे हर एक सितारा ।
पुरवैया देखो चवर कैसे झुलाए,
ऋतुएँ भी माता का झुला झुलायें ।
पा के भक्ति का धन, हुआ पावन यह मन,
कर के तेरा सुमिरन, खुले अंतर नयन,
तन मन में भक्ति ज्योति तेरी, हे माता जलती रहे ॥