Shankar Bholanath Hai Hamara Tumhara Lyrics | शंकर भोलानाथ है हमारा तुम्हारा

Ek Share Hari ke Naam...

“Shankar Bhola Nath Hai Hamara Tumhara” ek bhakti bhajan hai jo Bhole Baba Mahakal ke prati bhakton ke anant prem aur samarpan ko vyakt karta hai. Is bhajan mein Ujjain ki pavitra Mahakal nagri mein punarjanm ki ichchha, aur Baba ke charnon mein seva karne ki lagan dikhayi gayi hai. Bhakt apni antim icchha tak Baba se juda rehna chahta hai – chahe bhasmi ban kar un par chadh jaye ya unke bhakton ke charan chhuke apna jeevan safal kare. Yeh bhajan Shankar ji ke bhakton ke mann mein shraddha, aastha aur bhakti ki gehri bhavna jagata hai.

Shankar Bholanath hai hamara tumhara – Hindi Lyrics

Shankar Bholanath hai hamara tumhara hamara tumhara,
Mahakaal ki nagri me paau janam dobaara.

Is nagri ke kankar pathar hum ban jaaye,
Bhakt hamare upar chadhkar mandir jaaye,
Bhaktjano ke paav pade to ho uddhaar hamara,
Baba Bholanath hai hamara tumhara.

Jab bhi ye tan tyaagu tyaagu Kshipra tat par,
Itna karna Swami aur maru marghat par,
Meri bhasmi chadhe aap par paau pyaar tumhara,
Shankar Bholanath hai hamara tumhara.

Jai Bhola Bhandari Jai Gaura Tripurari,
Rakhiyo laaj hamaari sab jag ke hitkaari,
Man ki icchha poorn ho to hove vaara nyaara,
Baba Bholanath hai hamara tumhara.

Shankar Bholanath hai hamara tumhara hamara tumhara,
Mahakaal ki nagri me paau janam dobaara.


शंकर भोलानाथ है हमारा तुम्हारा हमारा तुम्हारा – हिंदी लिरिक्स

शंकर भोलानाथ है हमारा तुम्हारा हमारा तुम्हारा,
महाकाल की नगरी मे पाउ जनम दोबारा

इस नगरी के कंकर पथर हम बन जाए,
भक्त हमारे उपर चड़कर मंदिर जाए,
भक्तजनो के पाव पड़े तो हो उद्धार हमारा,
बाबा भोलानाथ है हमारा तुम्हारा

जब भी ये तन त्यागु त्यागु क्षिप्रा तट पर ,
इतना करना स्वामी ओर मरु मर्घत पर ,
मेरी भसमी चड़े आप पर पाउ प्यार तुम्हारा,
शंकर भोलानाथ है हमारा तुम्हारा

जय भोला भंडारी जय गौरा त्रिपुरारी,
रखियो लाज हमारी सब जाग के हितकारी,
मन की इक्च्चा पूरण होतो होवे वारा न्यारा,
बाबा भोलानाथ है हमारा तुम्हारा

शंकर भोला नाथ है हमारा तुम्हारा हमारा तुम्हारा,
महाकाल की नगरी मे पाउ जनम दोबारा

Leave a Comment