“Shri Bhagwat Bhagwan Ki Aarti” ek divya aur pavitra aarti hai jo Bhagwan ke Bhagwat swaroop ko samarpit hai. Ye aarti Shri Bhagwat Mahapuran ki mahima batati hai jo paapiyon ko paap se tarne wali, gyaan aur bhakti se jeevan ko prakashit karne wali hai. Ismein Bhagwan ka roop, unka mukti marg, unka madhur bol aur unka kripa swaroop varnit hai. Yeh aarti kehti hai ki Bhagwat Granth hi Hari ka Naam, Hari ka Dham hai. Jo bhi shraddha se ise gaata hai, uska jeevan dhanya ho jaata hai.
Bhagwan ki kripa sab par bani rahe.
Shri Bhagwat Bhagwan Ki Aarti – Hindi Lyrics
Shri Bhagwat Bhagwan Ki Hai Aarti,
Papiyon Ko Paap Se Hai Tarti.
Ye Amar Granth Ye Mukti Panth,
Ye Pancham Ved Nirala,
Nav Jyoti Jalane wala.
Hari Naam Yahi Hari Dham Yahi,
Yahi Jag Mangal Ki Aarti.
Papiyon Ko Paap Se Hai Tarti.
Shri Bhagwat Bhagwan Ki.
Ye Shanti Geet Pavan Puneet,
Papon Ko Mitane Wala,
Hari Darash Dikhane Wala.
Yah Sukh Karani,
Yah Duhkh Harini,
Shri Madhusoodan Ki Aarti,
Papiyon Ko Paap Se Hai Tarti.
Shri Bhagwat Bhagwan Ki.
Ye Madhur Bol,
Jag Phand Khol,
Sanmarg Dikhane Wala,
Bigadee Ko Banane Wala.
Shri Ram Yahi,
Ghanashyam Yahi,
Yahi Prabhu Ki Mahima Ki Aarti
Papiyon Ko Paap Se Hai Tarti.
Shri Bhagwat Bhagwan Ki Hai Aarti,
Papiyon Ko Paap Se Hai Tarti.
श्री भागवत भगवान की आरती – हिंदी लिरिक्स
श्री भागवत भगवान की है आरती,
पापियों को पाप से है तारती ।
ये अमर ग्रन्थ ये मुक्ति पन्थ,
ये पंचम वेद निराला,
नव ज्योति जलाने वाला ।
हरि नाम यही हरि धाम यही,
यही जग मंगल की आरती
पापियों को पाप से है तारती ॥
श्री भागवत भगवान की है आरती.
ये शान्ति गीत पावन पुनीत,
पापों को मिटाने वाला,
हरि दरश दिखाने वाला ।
यह सुख करनी, यह दुःख हरिनी,
श्री मधुसूदन की आरती,
पापियों को पाप से है तारती ॥
श्री भागवत भगवान की है आरती.
ये मधुर बोल, जग फन्द खोल,
सन्मार्ग दिखाने वाला,
बिगड़ी को बनानेवाला ।
श्री राम यही, घनश्याम यही,
यही प्रभु की महिमा की आरती
पापियों को पाप से है तारती ॥
श्री भागवत भगवान की है आरती.
श्री भागवत भगवान की है आरती,
पापियों को पाप से है तारती ।